shishe ka ghar samajh ke jo mail hue hain log
shīshe kā ghar samajh ke jo maa.il hue haiñ log
ḳhud apne pattharoñ se hī ghā.il hue haiñ log
hal ho nahīñ rahe haiñ hazāroñ nashist meñ
kuchh is tarah se uljhe masā.il hue haiñ log
chehroñ pe ġham kī sūiyāñ chaltī haiñ roz-o-shab
jaise purānī ghaḌiyoñ ke Dial hue haiñ log
ābādiyoñ kī barf kī sil par khaḌe hue
sahrā kī tarah pyaas ke saa.il hue haiñ log
roz-o-shab-e-hayāt ke ḳhānoñ meñ baañT kar
qistoñ meñ ḳhud-kushī ke vasā.il hue haiñ log
'anvar' abhī to shahr-e-ta.alluq kī raah meñ
dīvār-e-chīn kī tarah haa.il hue haiñ log
shishe ka ghar samajh ke jo mail hue hain log
KHud apne pattharon se hi ghail hue hain log
hal ho nahin rahe hain hazaron nashist mein
kuchh is tarah se uljhe masail hue hain log
chehron pe gham ki suiyan chalti hain roz-o-shab
jaise purani ghaDiyon ke Dial hue hain log
aabaadiyon ki barf ki sil par khaDe hue
sahra ki tarah pyas ke sail hue hain log
roz-o-shab-e-hayat ke KHanon mein banT kar
qiston mein KHud-kushi ke wasail hue hain log
'anwar' abhi to shahr-e-talluq ki rah mein
diwar-e-chin ki tarah hail hue hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.