shishe ki diwar thi hail qurb ki aisi surat thi
shīshe kī dīvār thī haa.il qurb kī aisī sūrat thī
kuchh apnī bhī majbūrī thī kuchh us kī bhī zarūrat thī
sāthī aur kisī kā merā ham-zauq-o-ham-rang-esuḳhan
us kī tanhā.ī ko shāyad kuchh merī bhī zarūrat thī
pahlī nazar ne kitnī hairat se us shakl ko dekhā thā
merī soch kī tasvīroñ se miltī-jultī mūrat thī
zard havā kā andhā jhoñkā naqsh miTā kar guzar gayā
ret pe ab bikhre harfoñ kī ik be-chehra sūrat thī
jis kī bāteñ shahd se mīThī jis ke haath meñ surḳh gulāb
us kī soch meñ zahr bharā thā us ke dil meñ kudūrat thī
ye kis ke e.azāz meñ 'akram' maqtal meñ hai jashn bapā
aaj salīboñ kī is nagrī meñ ye kis kī sūrat thī
shishe ki diwar thi hail qurb ki aisi surat thi
kuchh apni bhi majburi thi kuchh us ki bhi zarurat thi
sathi aur kisi ka mera ham-zauq-o-ham-rang-esuKHan
us ki tanhai ko shayad kuchh meri bhi zarurat thi
pahli nazar ne kitni hairat se us shakl ko dekha tha
meri soch ki taswiron se milti-julti murat thi
zard hawa ka andha jhonka naqsh miTa kar guzar gaya
ret pe ab bikhre harfon ki ek be-chehra surat thi
jis ki baaten shahd se miThi jis ke hath mein surKH gulab
us ki soch mein zahr bhara tha us ke dil mein kudurat thi
ye kis ke eazaz mein 'akram' maqtal mein hai jashn bapa
aaj salibon ki is nagri mein ye kis ki surat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.