shishe shishe ko paiwast-e-jaan mat karo
shīshe shīshe ko paivast-e-jāñ mat karo
chand tinkoñ ko itnā garāñ mat karo
raushnī jis jagah jhāñktī bhī nahīñ
us añdhere ko tum āsmāñ mat karo
ek kamre meñ rahnā hai sab ko yahāñ
giile patte jalā kar dhuāñ mat karo
dushmanī to havāoñ meñ maujūd hai
koī zahmat pa.e dostāñ mat karo
kyā pata kis ke dāman tale aag hai
sab ke chehroñ pe apnā gumāñ mat karo
shishe shishe ko paiwast-e-jaan mat karo
chand tinkon ko itna garan mat karo
raushni jis jagah jhankti bhi nahin
us andhere ko tum aasman mat karo
ek kamre mein rahna hai sab ko yahan
gile patte jala kar dhuan mat karo
dushmani to hawaon mein maujud hai
koi zahmat pae dostan mat karo
kya pata kis ke daman tale aag hai
sab ke chehron pe apna guman mat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.