shikayat ab nahin mujhko kisi se
shikāyat ab nahīñ mujh ko kisī se
magar āñkhoñ kā rishta hai namī se
muhāfiz ab charāġhoñ kā vahī hai
jo vāqif hī nahīñ kuchh raushnī se
gañvā duuñ kaise maiñ is tarah yūñhī
tujhe paayā hai maiñ ne bandagī se
nigāhoñ se pilā detā hai jab vo
sañbhaltā maiñ nahīñ huuñ phir kisī se
yahīñ par ḳhatm hotī hai kahānī
judā ab ho rahā huuñ zindagī se
vahī 'jāved' thā matlūb us ko
farishta ban gayā jo aadmī se
shikayat ab nahin mujh ko kisi se
magar aankhon ka rishta hai nami se
muhafiz ab charaghon ka wahi hai
jo waqif hi nahin kuchh raushni se
ganwa dun kaise main is tarah yunhi
tujhe paya hai main ne bandagi se
nigahon se pila deta hai jab wo
sanbhalta main nahin hun phir kisi se
yahin par KHatm hoti hai kahani
juda ab ho raha hun zindagi se
wahi 'jawed' tha matlub us ko
farishta ban gaya jo aadmi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.