shikayat bewafai ki na kar duniya-e-fani mein
shikayat bewafai ki na kar duniya-e-fani mein
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
shikāyat bevafā.ī kī na kar duniyā-e-fānī meñ
vafā kā naam baaqī hai faqat qisse kahānī meñ
jo marnā thā to āḳhir kyoñ na maut i javānī meñ
dil-e-zinda ko baiThā ro rahā huuñ zindagānī meñ
kisī ke gosha-e-abrū se kyā irshād hotā hai
koī kuchh arz kartā hai zabān-e-be-zabānī meñ
vufūr-e-shauq merā māne-e-dīdār thā varna
jhalak thī ḳhud-numā.ī kī sadā-e-lan-tarānī meñ
fusūn-e-shauq baḌh kar ho gayā afsāna-e-rañgīñ
jigar kā ḳhuun jab hal ho gayā ashkoñ ke paanī meñ
mohabbat hī ḳhudā-e-lam-yazal mālūm hotī hai
isī ko to baqā hāsil hai is duniyā-e-fānī meñ
chaman meñ zindagānī ke bahār aa.ī ḳhizāñ ban kar
mohabbat ne lagā.ī aag dil ko naujavānī meñ
ta.ajjub kyā agar mujh ko mohabbat phir javāñ kar de
jhalak hai husn-e-yūsuf kī zuleḳhā kī javānī meñ
jo dil meñ dard uThtā hai to 'beḳhud' sher kahtā hai
madad ashkoñ se miltī hai tabī.at ko ravānī meñ
shikayat bewafai ki na kar duniya-e-fani mein
wafa ka nam baqi hai faqat qisse kahani mein
jo marna tha to aaKHir kyon na maut i jawani mein
dil-e-zinda ko baiTha ro raha hun zindagani mein
kisi ke gosha-e-abru se kya irshad hota hai
koi kuchh arz karta hai zaban-e-be-zabani mein
wufur-e-shauq mera mane-e-didar tha warna
jhalak thi KHud-numai ki sada-e-lan-tarani mein
fusun-e-shauq baDh kar ho gaya afsana-e-rangin
jigar ka KHun jab hal ho gaya ashkon ke pani mein
mohabbat hi KHuda-e-lam-yazal malum hoti hai
isi ko to baqa hasil hai is duniya-e-fani mein
chaman mein zindagani ke bahaar aai KHizan ban kar
mohabbat ne lagai aag dil ko naujawani mein
tajjub kya agar mujh ko mohabbat phir jawan kar de
jhalak hai husn-e-yusuf ki zuleKHa ki jawani mein
jo dil mein dard uThta hai to 'beKHud' sher kahta hai
madad ashkon se milti hai tabiat ko rawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.