shikayat-e-sitam-e-rozgar karta hun
shikāyat-e-sitam-e-rozgār kartā huuñ
ḳhizāñ ke daur meñ zikr-e-bahār kartā huuñ
hazār rang se tū de rahā hai mujh ko fareb
magar maiñ phir bhī tirā e.atibār kartā huuñ
chaman se mujh ko bas ab is qadar ta.alluq hai
ḳhayāl-e-āmad-e-fasl-e-bahār kartā huuñ
na raaz faash ho merā tasavvur-e-jānāñ
maiñ dard-o-ġham kā tujhe rāz-dār kartā huuñ
sahar qarīb hai taare bhī jhilmilāte haiñ
ab aa bhī jā ki tirā intizār kartā huuñ
shikayat-e-sitam-e-rozgar karta hun
KHizan ke daur mein zikr-e-bahaar karta hun
hazar rang se tu de raha hai mujh ko fareb
magar main phir bhi tera eatibar karta hun
chaman se mujh ko bas ab is qadar talluq hai
KHayal-e-amad-e-fasl-e-bahaar karta hun
na raaz fash ho mera tasawwur-e-jaanan
main dard-o-gham ka tujhe raaz-dar karta hun
sahar qarib hai tare bhi jhilmilate hain
ab aa bhi ja ki tera intizar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.