shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte
shikāyat ham nahīñ karte ri.āyat vo nahīñ karte
magar is par sitam koī vazāhat vo nahīñ karte
ravāñ ho kis tarah se chāhatoñ kā kārvāñ apnā
hameñ rusvā.ī kā Dar hai baġhāvat vo nahīñ karte
hamī jalva dikhāte haiñ hamī shoḳhī nigāhoñ se
nahīñ hotā asar phir bhī sharārat vo nahīñ karte
nazar do-chār ho jaa.e to jhuk jaatī haiñ ye palkeñ
magar phir bhī koī jazba ināyat vo nahīñ karte
sabā le kar payām aa.e yā phūloñ kā salām aa.e
kisī bhī mausam-e-dil se mohabbat vo nahīñ karte
koī naama koī email mere naam likh deñ vo
mohabbat meñ kabhī itnī bhī zahmat vo nahīñ karte
shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte
magar is par sitam koi wazahat wo nahin karte
rawan ho kis tarah se chahaton ka karwan apna
hamein ruswai ka Dar hai baghawat wo nahin karte
hami jalwa dikhate hain hami shoKHi nigahon se
nahin hota asar phir bhi shararat wo nahin karte
nazar do-chaar ho jae to jhuk jati hain ye palken
magar phir bhi koi jazba inayat wo nahin karte
saba le kar payam aae ya phulon ka salam aae
kisi bhi mausam-e-dil se mohabbat wo nahin karte
koi nama koi email mere nam likh den wo
mohabbat mein kabhi itni bhi zahmat wo nahin karte
- Book : Koi bhi rut ho (Pg. 155)
- Author : Farah iqbal
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.