shikayat kar rahe hain sajda-ha-e-raegan mujhse
shikāyat kar rahe haiñ sajda-hā-e-rā.egāñ mujh se
na dekhā jā.egā ab sū-e-sañg-e-āstāñ mujh se
hai kal kī baat sharminda thā husn-e-rā.egāñ mujh se
ye jalve māñgte the ik nigāh-e-mehrbāñ mujh se
nazar rakh kar qanā.at kar rahā huuñ maiñ tasavvur par
ye jalve chāhte haiñ aur kyā qurbāniyāñ mujh se
mohabbat merī baḌh kar aa ga.ī hai bad-gumānī tak!
mazā aa jaa.e ho jaa.eñ jo vo bhī bad-gumāñ mujh se
mashiyyat chāhtī thī mujh ko mahv-e-ḳhvāb meñ rakhnā
maiñ kyā kartā na rokī jā sakīñ añgḌā.iyāñ mujh se
karishme qudrat-e-mutlaq ke haiñ bālā-e-shak lekin
maiñ jab jānūñ ki baḌh kar chhīn leñ majbūriyāñ mujh se
junūñ-jaulān-e-dasht-e-justujū huuñ kyā ḳhabar is kī
milī manzil kahāñ mujh ko chhuTī manzil kahāñ mujh se
shikayat kar rahe hain sajda-ha-e-raegan mujh se
na dekha jaega ab su-e-sang-e-astan mujh se
hai kal ki baat sharminda tha husn-e-raegan mujh se
ye jalwe mangte the ek nigah-e-mehrban mujh se
nazar rakh kar qanaat kar raha hun main tasawwur par
ye jalwe chahte hain aur kya qurbaniyan mujh se
mohabbat meri baDh kar aa gai hai bad-gumani tak!
maza aa jae ho jaen jo wo bhi bad-guman mujh se
mashiyyat chahti thi mujh ko mahw-e-KHwab mein rakhna
main kya karta na roki ja sakin angDaiyan mujh se
karishme qudrat-e-mutlaq ke hain baala-e-shak lekin
main jab jaanun ki baDh kar chhin len majburiyan mujh se
junun-jaulan-e-dasht-e-justuju hun kya KHabar is ki
mili manzil kahan mujh ko chhuTi manzil kahan mujh se
- Book : Bhasha Sangam (Quterly Patna) (Pg. 232)
- Author : B. Pradhan,Managing Editor Imteyaz Ahmad Karimi
- Publication : Urdu Directorate Flate No. 202, C Block, Afirs Hotle, Beli Road, Patna (July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21)
- Edition : July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.