shikayat karen kya shikayat se kya ho
shikāyat kareñ kyā shikāyat se kyā ho
agar jañg lāzim hai to hausla ho
bashar kā to itnā na dil saaf hogā
tum insāñ kī sūrat meñ jaise ḳhudā ho
ye sarkash samundar nikal pāoge jab
junūñ saañs lene kā sar par chaḌhā ho
mohabbat meñ ho to bas itnā kahūñgā
maza chaar din kā hai lambī sazā ho
koī har musībat se ham ko nikāle
asar kar rahī dostoñ kī duā ho
ye parvāz kā ḳhvāb achchhā hai lekin
zarā pahle qadmoñ pe apne khaḌā ho
siyāsat se ham ko tumheñ kyā milegā
ye dhanda hai jis kā usī kā bhalā ho
tabassum ki pīchhe kahīñ kuchh chhupā hai
hameñ sab patā hai tum ham se ḳhafā ho
abhī jo bhī miltā hai taslīm kar lo
phir aage safar meñ na jaane ki kyā ho
shikayat karen kya shikayat se kya ho
agar jang lazim hai to hausla ho
bashar ka to itna na dil saf hoga
tum insan ki surat mein jaise KHuda ho
ye sarkash samundar nikal paoge jab
junun sans lene ka sar par chaDha ho
mohabbat mein ho to bas itna kahunga
maza chaar din ka hai lambi saza ho
koi har musibat se hum ko nikale
asar kar rahi doston ki dua ho
ye parwaz ka KHwab achchha hai lekin
zara pahle qadmon pe apne khaDa ho
siyasat se hum ko tumhein kya milega
ye dhanda hai jis ka usi ka bhala ho
tabassum ki pichhe kahin kuchh chhupa hai
hamein sab pata hai tum hum se KHafa ho
abhi jo bhi milta hai taslim kar lo
phir aage safar mein na jaane ki kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.