shikayaton mein bhi usko ajab maza aaya
shikāyatoñ meñ bhī us ko ajab mazā aayā
ki bad-gumāñ thā magar duur tak chalā aayā
qadam qadam pe fasīleñ harīf thiiñ lekin
maiñ saḳht-jān thā un ko phalāñgtā aayā
idhar-udhar na.ī galiyoñ meñ jā nikaltā thā
bahut dinoñ meñ mujhe ghar kā rāsta aayā
sambhāl rakkhī thī maiñ ne huzūr barsoñ se
matā-e-dil thī so yāroñ meñ bāñTtā aayā
shikayaton mein bhi us ko ajab maza aaya
ki bad-guman tha magar dur tak chala aaya
qadam qadam pe fasilen harif thin lekin
main saKHt-jaan tha un ko phalangta aaya
idhar-udhar nai galiyon mein ja nikalta tha
bahut dinon mein mujhe ghar ka rasta aaya
sambhaal rakkhi thi main ne huzur barson se
mata-e-dil thi so yaron mein banTta aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.