shikan ke sath jite hain thakan ki dastaras mein hain
shikan ke saath jiite haiñ thakan kī dastaras meñ haiñ
haqīqat meñ sabhī apne badan kī dastaras meñ haiñ
jamāl-e-nik.hat-e-shām-o-sahar bhī anjuman meñ hai
kalī bhauñre gul-o-bulbul chaman kī dastaras meñ haiñ
mujhe parvāz kar ke āsmāñ meñ Dūbnā thā aur
mujhe ye yaad thā ham sab badan kī dastaras meñ haiñ
asīrān-e-ġham-e-duniyā fanā kī justujū meñ haiñ
kahīñ par hazrat-e-zāhid kafan kī dastaras meñ haiñ
are ai husn jaatā huuñ jahāñ tere hī charche haiñ
batā kitne dil-e-dānā tuman kī dastaras meñ haiñ
shikan ke sath jite hain thakan ki dastaras mein hain
haqiqat mein sabhi apne badan ki dastaras mein hain
jamal-e-nikhat-e-sham-o-sahar bhi anjuman mein hai
kali bhaunre gul-o-bulbul chaman ki dastaras mein hain
mujhe parwaz kar ke aasman mein Dubna tha aur
mujhe ye yaad tha hum sab badan ki dastaras mein hain
asiran-e-gham-e-duniya fana ki justuju mein hain
kahin par hazrat-e-zahid kafan ki dastaras mein hain
are ai husn jata hun jahan tere hi charche hain
bata kitne dil-e-dana tuman ki dastaras mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.