shikast de ke mujhe dar par sajata hai
shikast de ke mujhe daar par sajātā hai
vo apnī jiit mirī haar par sajātā hai
mizāj-e-yār tirī barhamī ke dil sadqe
ajiib rang ruḳh-e-yār par sajātā hai
ik aise lamha-e-tanhā.ī se maiñ vāqif huuñ
vo jab mujhe lab-o-ruḳhsār par sajātā hai
tire divāne ko tasvīr mil ga.ī hai tirī
badal badal ke jo dīvār par sajātā hai
use pasand nahīñ motiye ke phuul magar
kalā.ī meñ mire isrār par sajātā hai
vo jis ke aib hunar se badal diye maiñ ne
vo tohmateñ mire kirdār par sajātā hai
'salīm' 'fauz' safā.ī meñ kuchh nahīñ kahnā
gale meñ tauq vo iz.hār par sajātā hai
shikast de ke mujhe dar par sajata hai
wo apni jit meri haar par sajata hai
mizaj-e-yar teri barhami ke dil sadqe
ajib rang ruKH-e-yar par sajata hai
ek aise lamha-e-tanhai se main waqif hun
wo jab mujhe lab-o-ruKHsar par sajata hai
tere diwane ko taswir mil gai hai teri
badal badal ke jo diwar par sajata hai
use pasand nahin motiye ke phul magar
kalai mein mere israr par sajata hai
wo jis ke aib hunar se badal diye main ne
wo tohmaten mere kirdar par sajata hai
'salim' 'fauz' safai mein kuchh nahin kahna
gale mein tauq wo izhaar par sajata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.