shikast-e-dil mein bhi ek zindagi nazar aai
shikast-e-dil meñ bhī ik zindagī nazar aa.ī
diyā bujhā to hameñ raushnī nazar aa.ī
farāz-e-dār pe koī hameñ na pahchānā
zamāne vāloñ ko ḳhush-qāmatī nazar aa.ī
sar-e-dayār-e-vafā dostoñ ke jhurmuT meñ
darīda jism liye dostī nazar aa.ī
ab aur tarz se naqqāra-e-ḳhudā gūñje
zabān-e-ḳhalq to ḳhāmosh hī nazar aa.ī
vo rakh-rakhāv na dekhā diye ke jalne meñ
jo us ke bujhne meñ shā.istagī nazar aa.ī
shikast-e-dil mein bhi ek zindagi nazar aai
diya bujha to hamein raushni nazar aai
faraaz-e-dar pe koi hamein na pahchana
zamane walon ko KHush-qamati nazar aai
sar-e-dayar-e-wafa doston ke jhurmuT mein
darida jism liye dosti nazar aai
ab aur tarz se naqqara-e-KHuda gunje
zaban-e-KHalq to KHamosh hi nazar aai
wo rakh-rakhaw na dekha diye ke jalne mein
jo us ke bujhne mein shaistagi nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.