Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikast-e-ishq ka qissa naya nahin rakhte

Sarvar Javed

shikast-e-ishq ka qissa naya nahin rakhte

Sarvar Javed

MORE BYSarvar Javed

    shikast-e-ishq qissa nayā nahīñ rakhte

    magar ham is ke sivā rāsta nahīñ rakhte

    aziyyatoñ ke alāva hamārī umr ke log

    mohabbatoñ se koī vāsta nahīñ rakhte

    haiñ ek umr se be-ḳhānumāñ ki aaj bhī ham

    sivā.e ishq koī tajraba nahīñ rakhte

    jaras rasm hai dastak-kunāñ magar ham log

    bahut dinoñ se koī mudda.ā nahīñ rakhte

    mohabbatoñ se gurezāñ haiñ tere baad ki ham

    jarāhatoñ ko talab se sivā nahīñ rakhte

    shikast-e-ishq ka qissa naya nahin rakhte

    magar hum is ke siwa rasta nahin rakhte

    aziyyaton ke alawa hamari umr ke log

    mohabbaton se koi wasta nahin rakhte

    hain ek umr se be-KHanuman ki aaj bhi hum

    siwae ishq koi tajraba nahin rakhte

    jaras ki rasm hai dastak-kunan magar hum log

    bahut dinon se koi muddaa nahin rakhte

    mohabbaton se gurezan hain tere baad ki hum

    jarahaton ko talab se siwa nahin rakhte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now