shikast-e-KHurdgi ke baad hausla nahin hua
shikast-e-ḳhurdgī ke baad hausla nahīñ huā
jo chūkā pahlā vaar hī to dūsrā nahīñ huā
kahā huā sunā huā likhā huā nahīñ huā
hamāre haq meñ to koī bhī faisla nahīñ huā
sukūt-e-lab kā vo sabab haiñ siskiyāñ vo hichkiyāñ
nigāh-e-ishq se faro vo hādisa nahīñ huā
tamām dil ke pārche bikhar chuke zamīn par
hisāb rakhne vaale kā muhāsba nahīñ huā
palaT ga.e tamāsh-bīñ ga.ī vo sho.abada-garī
thī guñg vo zabān jab kahā huā nahīñ huā
tumhāre naqsh-e-pā pe maiñ jo chal rahā huuñ der se
maiñ ḳhatm ho rahā to huuñ pa rāsta nahīñ huā
shikast-e-KHurdgi ke baad hausla nahin hua
jo chuka pahla war hi to dusra nahin hua
kaha hua suna hua likha hua nahin hua
hamare haq mein to koi bhi faisla nahin hua
sukut-e-lab ka wo sabab hain siskiyan wo hichkiyan
nigah-e-ishq se faro wo hadisa nahin hua
tamam dil ke parche bikhar chuke zamin par
hisab rakhne wale ka muhasba nahin hua
palaT gae tamash-bin gai wo shoabada-gari
thi gung wo zaban jab kaha hua nahin hua
tumhaare naqsh-e-pa pe main jo chal raha hun der se
main KHatm ho raha to hun pa rasta nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.