Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikast-e-KHurdgi ke baad hausla nahin hua

Abu Leveeza Ali

shikast-e-KHurdgi ke baad hausla nahin hua

Abu Leveeza Ali

MORE BYAbu Leveeza Ali

    shikast-e-ḳhurdgī ke baad hausla nahīñ huā

    jo chūkā pahlā vaar to dūsrā nahīñ huā

    kahā huā sunā huā likhā huā nahīñ huā

    hamāre haq meñ to koī bhī faisla nahīñ huā

    qadam saqīl ho ga.e tavīl raah ho ga.ī

    malāl thā kamāl par visāl thā nahīñ huā

    sukūt-e-lab vo sabab haiñ siskiyāñ vo hichkiyāñ

    nigāh-e-ishq se faro vo hādisa nahīñ huā

    tamām dil ke pārche bikhar chuke zamīn par

    hisāb rakhne vaale muhāsba nahīñ huā

    palaT ga.e tamāsh-bīñ ga.ī vo sho.abada-garī

    thī guñg vo zabān jab kahā huā nahīñ huā

    huī buland ik sadā ki ab karo vo faisla

    nigāh-e-nāz-yāfta vo dūsrā nahīñ huā

    tumhāre naqsh-e-pā pe maiñ jo chal rahā huuñ der se

    maiñ ḳhatm ho rahā to huuñ pa rāsta nahīñ huā

    shikast-e-KHurdgi ke baad hausla nahin hua

    jo chuka pahla war hi to dusra nahin hua

    kaha hua suna hua likha hua nahin hua

    hamare haq mein to koi bhi faisla nahin hua

    qadam saqil ho gae tawil rah ho gai

    malal tha kamal par visal tha nahin hua

    sukut-e-lab ka wo sabab hain siskiyan wo hichkiyan

    nigah-e-ishq se faro wo hadisa nahin hua

    tamam dil ke parche bikhar chuke zamin par

    hisab rakhne wale ka muhasba nahin hua

    palaT gae tamash-bin gai wo shoabada-gari

    thi gung wo zaban jab kaha hua nahin hua

    hui buland ek sada ki ab karo wo faisla

    nigah-e-naz-yafta wo dusra nahin hua

    tumhaare naqsh-e-pa pe main jo chal raha hun der se

    main KHatm ho raha to hun pa rasta nahin hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now