shikast-e-zarf se kho.eñ na ham bharam apnā
sharāb pī ke na bahke kabhī qadam apnā
ye jānte haiñ ki me.arāj-e-zindagī kyā hai
vafā kī raah meñ karte haiñ sar qalam apnā
ham apne dil ko maqām-e-ḳhudā samajhte haiñ
yahī hai der ab apnā yahī haram apnā
ye bal jabīn-e-qazā-o-qadar pe kyuuñ āḳhir
banā rahe haiñ muqaddar jo aaj ham apnā
bahut ḳhulūs 'munavvar' ke dil meñ paatā huuñ
'ajīb shaḳhs hai ye dost mohtaram apnā
shikast-e-zarf se khoen na hum bharam apna
sharab pi ke na bahke kabhi qadam apna
ye jaante hain ki mearaj-e-zindagi kya hai
wafa ki rah mein karte hain sar qalam apna
hum apne dil ko maqam-e-KHuda samajhte hain
yahi hai der ab apna yahi haram apna
ye bal jabin-e-qaza-o-qadar pe kyun aaKHir
bana rahe hain muqaddar jo aaj hum apna
bahut KHulus 'munawwar' ke dil mein pata hun
'ajib shaKHs hai ye dost mohtaram apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.