shikast-KHurda ana ke ghulam sab hi the
shikast-ḳhurda anā ke ġhulām sab hī the
safoñ meñ hote khaḌe kyoñ imaam sab hī the
havas ke gesu-e-pechāñ se koī bach na sakā
faqīr ho ki ġhanī zer-e-dām sab hī the
paḌā jo ran to sipar sauñp dī ġhanīmoñ ko
gharoñ meñ apne magar be-niyām sab hī the
khulā hai raaz ye ahl-e-junūñ kī mahfil meñ
fasāna-hā-e-ḳhirad nā-tamām sab hī the
bachā sakā na use koī dast-e-qātil se
hisār bāñdhe hue ḳhās-o-ām sab hī the
kisī ke lab pe haqīqat na aa sakī khul kar
sharīk-e-bazm to yuuñ ḳhush-kalām sab hī the
bhalā zabān vahāñ kaise kholte 'nātiq'
jahāñ darīda-dahan be-lijām sab hī the
shikast-KHurda ana ke ghulam sab hi the
safon mein hote khaDe kyon imam sab hi the
hawas ke gesu-e-pechan se koi bach na saka
faqir ho ki ghani zer-e-dam sab hi the
paDa jo ran to sipar saunp di ghanimon ko
gharon mein apne magar be-niyam sab hi the
khula hai raaz ye ahl-e-junun ki mahfil mein
fasana-ha-e-KHirad na-tamam sab hi the
bacha saka na use koi dast-e-qatil se
hisar bandhe hue KHas-o-am sab hi the
kisi ke lab pe haqiqat na aa saki khul kar
sharik-e-bazm to yun KHush-kalam sab hi the
bhala zaban wahan kaise kholte 'natiq'
jahan darida-dahan be-lijam sab hi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.