shikasta dil tahi-daman ba-chashm-e-tar gaya aaKHir
shikasta dil tahī-dāman ba-chashm-e-tar gayā āḳhir
sanam mil kar hameñ phir aaj tanhā kar gayā āḳhir
ġharīb-e-shahr thā ḳhāmosh rahne kī sazā paa.ī
vafā karne pe bhī ilzām us ke sar gayā āḳhir
baḌhā kar haath ulfat kā sadā kī bekalī de dī
tumhārī chaah kar ke ek shā.ir mar gayā āḳhir
ye tai thā ham anā ke faisle se muñh na moḌeñge
rahī dastār qaa.em tan se lekin sar gayā āḳhir
fanā ke haath apnī zindagī ko chhū na sakte the
magar mālik tirī duniyā se ye dil bhar gayā āḳhir
thakan se chuur thā us kā badan aur aañkh bojhal thī
vo shab bhar ghar se bāhar thā palaT kar ghar gayā āḳhir
vo jis kī justujū meñ ham ne apnī zindagī kho dī
vahī to aaj 'hasrat' ham pe tohmat dhar gayā āḳhir
shikasta dil tahi-daman ba-chashm-e-tar gaya aaKHir
sanam mil kar hamein phir aaj tanha kar gaya aaKHir
gharib-e-shahr tha KHamosh rahne ki saza pai
wafa karne pe bhi ilzam us ke sar gaya aaKHir
baDha kar hath ulfat ka sada ki bekali de di
tumhaari chah kar ke ek shair mar gaya aaKHir
ye tai tha hum ana ke faisle se munh na moDenge
rahi dastar qaem tan se lekin sar gaya aaKHir
fana ke hath apni zindagi ko chhu na sakte the
magar malik teri duniya se ye dil bhar gaya aaKHir
thakan se chur tha us ka badan aur aankh bojhal thi
wo shab bhar ghar se bahar tha palaT kar ghar gaya aaKHir
wo jis ki justuju mein hum ne apni zindagi kho di
wahi to aaj 'hasrat' hum pe tohmat dhar gaya aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.