shikasta-dil the tera etibar kya karte
shikasta-dil the tirā e'tibār kyā karte
jo e'tibār bhī karte to pyaar kyā karte
zarā sī der ko baiThe the phir uThā na gayā
shajar hī aisā thā vo sāya-dār kyā karte
shab intizār meñ din yād-e-yār meñ kaaTe
ab aur izzat-e-lail-o-nahār kyā karte
kabhī qadam safar-e-shauq meñ ruke hī nahīñ
to sañg-e-mīl bhalā ham shumār kyā karte
sitam-shanās-e-mohabbat to jaañ pe khel ga.e
nishāna-e-sitam-e-rozgār kyā karte
hamārī aañkh meñ aañsū na us ke lab pe hañsī
ḳhayāl ḳhātir-e-abr-e-bahār kyā karte
vo nā-pasand thā lekin use bhulāyā nahīñ
jo baat bas meñ na thī iḳhtiyār kyā karte
darūn-e-ḳhāna-e-dil kaisā shor hai 'sājid'
hameñ ḳhabar thī magar āshkār kyā karte
shikasta-dil the tera e'tibar kya karte
jo e'tibar bhi karte to pyar kya karte
zara si der ko baiThe the phir uTha na gaya
shajar hi aisa tha wo saya-dar kya karte
shab intizar mein din yaad-e-yar mein kaTe
ab aur izzat-e-lail-o-nahaar kya karte
kabhi qadam safar-e-shauq mein ruke hi nahin
to sang-e-mil bhala hum shumar kya karte
sitam-shanas-e-mohabbat to jaan pe khel gae
nishana-e-sitam-e-rozgar kya karte
hamari aankh mein aansu na us ke lab pe hansi
KHayal KHatir-e-abr-e-bahaar kya karte
wo na-pasand tha lekin use bhulaya nahin
jo baat bas mein na thi iKHtiyar kya karte
darun-e-KHana-e-dil kaisa shor hai 'sajid'
hamein KHabar thi magar aashkar kya karte
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 435)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.