shikasta KHwab mere aaine mein rakkhe hain
shikasta ḳhvāb mire aa.ine meñ rakkhe haiñ
ye kyā 'azāb mire aa.ine meñ rakkhe haiñ
abhī to 'ishq kī parteñ khuleñgī tah-dar-tah
abhī hijāb mire aa.ine meñ rakkhe haiñ
paḌhā rahe ho mujhe tum ye kis jahāñ ke sabaq
mire nisāb mire aa.ine meñ rakkhe haiñ
tumhāre ḳhvāb salāmat haiñ ujḌī āñkhoñ meñ
jo zer-e-āb mire aa.ine meñ rakkhe haiñ
tumhāre hijr meñ guzre hue sabhī lamhe
mirī kitāb mire aa.ine meñ rakkhe haiñ
shikasta KHwab mere aaine mein rakkhe hain
ye kya 'azab mere aaine mein rakkhe hain
abhi to 'ishq ki parten khulengi tah-dar-tah
abhi hijab mere aaine mein rakkhe hain
paDha rahe ho mujhe tum ye kis jahan ke sabaq
mere nisab mere aaine mein rakkhe hain
tumhaare KHwab salamat hain ujDi aankhon mein
jo zer-e-ab mere aaine mein rakkhe hain
tumhaare hijr mein guzre hue sabhi lamhe
meri kitab mere aaine mein rakkhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.