shikasta-pa hain koi aasra banate hain
shikasta-pā haiñ koī aasrā banāte haiñ
miTā ke ḳhud ko jo ham ik ḳhudā banāte haiñ
hameñ shu.ūr-e-haqīqat nahīñ so ham aksar
fareb-e-jumbish-e-bāl-e-humā banāte haiñ
vo apne husn kā har raaz kholne ke liye
qabā banāte haiñ band-e-qabā banāte haiñ
abad ke dosh pe sū-e-azal chale haiñ ki ham
nayā hī naqsh koī dahr kā banāte haiñ
ḳhudā-e-mausam-e-gul un ko tāzgī baḳhshe
jo dast-e-shauq se dast-e-sabā banāte haiñ
na.e sire se koī intihā banāne ko
na.e sire se koī ibtidā banāte haiñ
ḳhudā-shanās haiñ ham is liye ba-nām-e-sanam
haram banāte haiñ qibla-numā banāte haiñ
kabhī guzar na sakeñ apne qariya-e-jāñ se
so ham vajūd meñ apne ḳhalā banāte haiñ
kisī hasīna-e-bilqīs-adā kī ḳhātir ham
nigār-ḳhāna-e-shahr-e-sabā banāte haiñ
ham apne zehn ke qirtās par tire hote
tujhe banāte haiñ aur jā-ba-jā banāte haiñ
chalo jahān-e-ḳhayāl-o-gumān meñ 'shāriq'
phir is jahāñ sā koī sāneha banāte haiñ
shikasta-pa hain koi aasra banate hain
miTa ke KHud ko jo hum ek KHuda banate hain
hamein shuur-e-haqiqat nahin so hum aksar
fareb-e-jumbish-e-baal-e-huma banate hain
wo apne husn ka har raaz kholne ke liye
qaba banate hain band-e-qaba banate hain
abad ke dosh pe su-e-azal chale hain ki hum
naya hi naqsh koi dahr ka banate hain
KHuda-e-mausam-e-gul un ko tazgi baKHshe
jo dast-e-shauq se dast-e-saba banate hain
nae sire se koi intiha banane ko
nae sire se koi ibtida banate hain
KHuda-shanas hain hum is liye ba-nam-e-sanam
haram banate hain qibla-numa banate hain
kabhi guzar na saken apne qariya-e-jaan se
so hum wajud mein apne KHala banate hain
kisi hasina-e-bilqis-ada ki KHatir hum
nigar-KHana-e-shahr-e-saba banate hain
hum apne zehn ke qirtas par tere hote
tujhe banate hain aur ja-ba-ja banate hain
chalo jahan-e-KHayal-o-guman mein 'shaariq'
phir is jahan sa koi saneha banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.