shikasta-par hai ye unchi uDan rakhta hai
shikasta-par hai ye unchi uDan rakhta hai
Mohammad Amir Alvi Amir
MORE BYMohammad Amir Alvi Amir
shikasta-par hai ye ūñchī uḌaan rakhtā hai
parinda hai to parinde kī shaan rakhtā hai
bahut hī būḌhā sahī par isī shajar se ghar
tamām shahr meñ ik ān-bān rakhtā hai
ajab hī chiiz hai āñchal bhī maañ kā ai logo
ki sar to jaise koī āsmān rakhtā hai
vo shaḳhs jo mire har faisle kā thā pāband
savāliya mire aage nishān rakhtā hai
huī hai bāloñ kī chāñdī se baat ye raushan
vo pā-e-umr kī sar par takān rakhtā hai
vo shohratoñ ke bayābāñ meñ Thahrā lā-sānī
ki sarv se kahīñ baḌh kar uThān rakhtā hai
agarche va.ada nahīñ phir bhī jaane kyoñ 'āmir'
ye dil usī kī hī aahaT pe kaan rakhtā hai
shikasta-par hai ye unchi uDan rakhta hai
parinda hai to parinde ki shan rakhta hai
bahut hi buDha sahi par isi shajar se ghar
tamam shahr mein ek aan-ban rakhta hai
ajab hi chiz hai aanchal bhi man ka ai logo
ki sar to jaise koi aasman rakhta hai
wo shaKHs jo mere har faisle ka tha paband
sawaliya mere aage nishan rakhta hai
hui hai baalon ki chandi se baat ye raushan
wo pa-e-umr ki sar par takan rakhta hai
wo shohraton ke bayaban mein Thahra la-sani
ki sarw se kahin baDh kar uThan rakhta hai
agarche wada nahin phir bhi jaane kyon 'amir'
ye dil usi ki hi aahaT pe kan rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.