shikasta-par junun ko aazmaenge nahin kya
shikasta-par junūñ ko āzmā.eñge nahīñ kyā
uḌānoñ ke liye par phaḌphaḌā.eñge nahīñ kyā
havā.eñ mehrbāñ thiiñ muntaqim kyuuñ ho ga.ī haiñ
nigah-varān-e-sāhil kuchh batā.eñge nahīñ kyā
koī hañstā huā sūraj pas-e-dīvār-e-tārīk
firozāñ ho to dīvāreñ girā.eñge nahīñ kyā
vahī pahlī sī arzānī sar-e-bāzār-e-pindār
nazar aa.e to ham qīmat baḌhā.eñge nahīñ kyā
savād-e-tishnagī ke paar ik mavvāj dariyā
ġhazal-ḳhvāñ ho to phir teshe uThā.eñge nahīñ kyā
badalte mausamoñ kī dhuul hote rāstoñ ko
thake-hāre musāfir yaad ā.eñge nahīñ kyā
shikasta-par junun ko aazmaenge nahin kya
uDanon ke liye par phaDphaDaenge nahin kya
hawaen mehrban thin muntaqim kyun ho gai hain
nigah-waran-e-sahil kuchh bataenge nahin kya
koi hansta hua suraj pas-e-diwar-e-tarik
firozan ho to diwaren giraenge nahin kya
wahi pahli si arzani sar-e-bazar-e-pindar
nazar aae to hum qimat baDhaenge nahin kya
sawad-e-tishnagi ke par ek mawwaj dariya
ghazal-KHwan ho to phir teshe uThaenge nahin kya
badalte mausamon ki dhul hote raston ko
thake-haare musafir yaad aaenge nahin kya
- Book : Mahr-e-Do neem (Pg. 158)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.