shikwa ban kar fughan se uThta hai
shikva ban kar fuġhāñ se uThtā hai
sho.ala-e-ġham zabāñ se uThtā hai
phir jalā āshiyāñ koī shāyad
phir dhuāñ gulsitāñ se uThtā hai
TuuT jaatā hai silsila lai kā
jab koī darmiyāñ se uThtā hai
Thahre paanī meñ kuchh nahīñ hotā
shor āb-e-ravāñ se uThtā hai
sar meñ saudā-e-bandagī hai 'asar'
kaun is āstāñ se uThtā hai
shikwa ban kar fughan se uThta hai
shoala-e-gham zaban se uThta hai
phir jala aashiyan koi shayad
phir dhuan gulsitan se uThta hai
TuT jata hai silsila lai ka
jab koi darmiyan se uThta hai
Thahre pani mein kuchh nahin hota
shor aab-e-rawan se uThta hai
sar mein sauda-e-bandagi hai 'asar'
kaun is aastan se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.