shikwa-e-baKHT hai fuzul gardish-e-rozgar kya
shikwa-e-baKHT hai fuzul gardish-e-rozgar kya
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
shikva-e-baḳhT hai fuzūl gardish-e-rozgār kyā
vaqt kī tū bisāt ulaT baiThā hai sogvār kyā
pursish-e-ġham se aa gayā dil ko mire qarār kyā
mujh ko sukūn mil gayā ai mere ġham-gusār kyā
dil meñ ho soz-e-ishq agar phir ġham-e-rozgār kyā
dhuup bhī phir to chhāñv hai kaisī ḳhizāñ bahār kyā
hijr kī raat kaT ga.ī dard bhī dil kā tham gayā
terī ravish badal ga.ī gardish-e-rozgār kyā
ġham hai hamārī zindagī dard hai husn-e-zindagī
ab hameñ un se kyā gila ab hameñ ġham se aar kyā
tuur pe tum the jalva-gar hosh meñ kab kalīm the
dekhne vaalā jab na ho husn kī phir bahār kyā
sun ke rumūz-e-aql-o-hosh ahl-e-ḳhirad pukār uThe
ahl-e-junūñ ko mil gayā aql pe iḳhtiyār kyā
shikwa-e-baKHT hai fuzul gardish-e-rozgar kya
waqt ki tu bisat ulaT baiTha hai sogwar kya
pursish-e-gham se aa gaya dil ko mere qarar kya
mujh ko sukun mil gaya ai mere gham-gusar kya
dil mein ho soz-e-ishq agar phir gham-e-rozgar kya
dhup bhi phir to chhanw hai kaisi KHizan bahaar kya
hijr ki raat kaT gai dard bhi dil ka tham gaya
teri rawish badal gai gardish-e-rozgar kya
gham hai hamari zindagi dard hai husn-e-zindagi
ab hamein un se kya gila ab hamein gham se aar kya
tur pe tum the jalwa-gar hosh mein kab kalim the
dekhne wala jab na ho husn ki phir bahaar kya
sun ke rumuz-e-aql-o-hosh ahl-e-KHirad pukar uThe
ahl-e-junun ko mil gaya aql pe iKHtiyar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.