shikwa-e-daur-e-jam hai saqi
shikwa-e-daur-e-jam hai saqi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
shikva-e-daur-e-jām hai saaqī
zindagī tishna-kām hai saaqī
rok de gardish-e-zamāna ko
tere hāthoñ meñ jaam hai saaqī
fursat-e-sabr-o-ajr kis ko ho
zindagī tez-gām hai saaqī
mai kā piinā harām ho ki na ho
na pilānā harām hai saaqī
dar-haqīqat hayāt-o-maut abhī
qissa-e-nā-tamām hai saaqī
tālib-e-intiqām kyūñ-kar hoñ
umr ḳhud intiqām hai saaqī
aañkh milte hī kar diyā mad.hosh
ye tumhārā hī kaam hai saaqī
ham charāġh-e-'sahar' sahī lekin
mai-kade kī tū shaam hai saaqī
shikwa-e-daur-e-jam hai saqi
zindagi tishna-kaam hai saqi
rok de gardish-e-zamana ko
tere hathon mein jam hai saqi
fursat-e-sabr-o-ajr kis ko ho
zindagi tez-gam hai saqi
mai ka pina haram ho ki na ho
na pilana haram hai saqi
dar-haqiqat hayat-o-maut abhi
qissa-e-na-tamam hai saqi
talib-e-intiqam kyun-kar hon
umr KHud intiqam hai saqi
aankh milte hi kar diya madhosh
ye tumhaara hi kaam hai saqi
hum charagh-e-'sahar' sahi lekin
mai-kade ki tu sham hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.