shikwa-e-dil nahin karenge hum
shikva-e-dil nahīñ kareñge ham
zard mausam meñ khil uTheñge ham
apnī vāraftagī na jā.egī
tum se ik roz aa mileñge ham
guhar-āsār ābgīnoñ ko
gaahe hasrat se dekh leñge ham
ḳhvāb-dar-ḳhvāb kuchh charāġhoñ meñ
raushnī DhūñDte raheñge ham
oḌh lenī hai phir ridā-e-sukūt
chīḳh chillā ke thak chukeñge ham
baat kyūñkar samajh na aa.egī
is tayaqqun se gar kaheñge ham
ik nazar aur dekh lo ham ko
yuuñ dubāra nahīñ sajeñge ham
shikwa-e-dil nahin karenge hum
zard mausam mein khil uThenge hum
apni waraftagi na jaegi
tum se ek roz aa milenge hum
guhar-asar aabginon ko
gahe hasrat se dekh lenge hum
KHwab-dar-KHwab kuchh charaghon mein
raushni DhunDte rahenge hum
oDh leni hai phir rida-e-sukut
chiKH chilla ke thak chukenge hum
baat kyunkar samajh na aaegi
is tayaqqun se gar kahenge hum
ek nazar aur dekh lo hum ko
yun dubara nahin sajenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.