shikwa-e-gham bhi gaya taqat-e-goyai bhi
shikva-e-ġham bhī gayā tāqat-e-goyā.ī bhī
bhuul jaatā huuñ koī baat jo yaad aa.ī bhī
dekhnā bhī nahīñ us samt gavārā un ko
ḳhatm hai silsila-e-hausla-afzā.ī bhī
jab se andāz-e-bahārāñ meñ taġhayyur aayā
miT gayā dil se ḳhayāl-e-chaman-ārī.ī bhī
har taraf bāñg-e-jaras bāñg-e-darā bāñg-e-azāñ
sone vaale haiñ ki lete nahīñ añgḌā.ī bhī
kaun ab ham ko tajallī kī haqīqat samjhā.e
ho ga.e gum tire jalvoñ meñ tamāshā.ī bhī
kitnī mushkil hai kisī sher kī tahlīl 'nasīr'
kitnī dushvār hai ehsās kī gīrā.ī bhī
shikwa-e-gham bhi gaya taqat-e-goyai bhi
bhul jata hun koi baat jo yaad aai bhi
dekhna bhi nahin us samt gawara un ko
KHatm hai silsila-e-hausla-afzai bhi
jab se andaz-e-bahaaran mein taghayyur aaya
miT gaya dil se KHayal-e-chaman-arii bhi
har taraf bang-e-jaras bang-e-dara bang-e-azan
sone wale hain ki lete nahin angDai bhi
kaun ab hum ko tajalli ki haqiqat samjhae
ho gae gum tere jalwon mein tamashai bhi
kitni mushkil hai kisi sher ki tahlil 'nasir'
kitni dushwar hai ehsas ki girai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.