shikwa-e-gham ka asar yaad aaya
shikva-e-ġham kā asar yaad aayā
husn-e-mahjūb-e-nazar yaad aayā
ashk-e-ḳhūnāb-asar yaad aayā
laḳht-e-dil laḳht-e-jigar yaad aayā
paañv kā hosh na sar yaad aayā
terā kūcha tirā dar yaad aayā
hamdam-e-rāh safar yaad aayā
sāya-e-barg-e-shajar yaad aayā
jab bhī dekhī hai badaltī duniyā
un kā andāz-e-nazar yaad aayā
hichkiyāñ phir lagīñ aane ruk kar
phir koī bār-e-digar yaad aayā
qasr-e-shāhī meñ sukūñ kyā miltā
apnā ujḌā huā ghar yaad aayā
ham ne khaa.ī thī jahāñ par Thokar
phir vahī rāhguzar yaad aayā
ruḳh kī saugand hai zulfoñ kī qasam
tū mujhe shām-o-sahar yaad aayā
haram-o-dair kā chakkar chhoḌā
ham ko jab aap kā dar yaad aayā
kyoñ 'mubārak' na ho manzil āsāñ
ham-safar vaqt-e-safar yaad aayā
shikwa-e-gham ka asar yaad aaya
husn-e-mahjub-e-nazar yaad aaya
ashk-e-KHunab-asar yaad aaya
laKHt-e-dil laKHt-e-jigar yaad aaya
panw ka hosh na sar yaad aaya
tera kucha tera dar yaad aaya
hamdam-e-rah safar yaad aaya
saya-e-barg-e-shajar yaad aaya
jab bhi dekhi hai badalti duniya
un ka andaz-e-nazar yaad aaya
hichkiyan phir lagin aane ruk kar
phir koi bar-e-digar yaad aaya
qasr-e-shahi mein sukun kya milta
apna ujDa hua ghar yaad aaya
hum ne khai thi jahan par Thokar
phir wahi rahguzar yaad aaya
ruKH ki saugand hai zulfon ki qasam
tu mujhe sham-o-sahar yaad aaya
haram-o-dair ka chakkar chhoDa
hum ko jab aap ka dar yaad aaya
kyon 'mubarak' na ho manzil aasan
ham-safar waqt-e-safar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.