shikwa-e-gardish-e-taqdir se kya hota hai
shikva-e-gardish-e-taqdīr se kyā hotā hai
kārsāz ahl-e-mohabbat kā ḳhudā hotā hai
shikve hote haiñ mohabbat meñ gila hotā hai
koī apnoñ se bhī is tarah ḳhafā hotā hai
muskurā.e vo mire ġham kī hikāyat sun kar
shāyad ab un ko bhī ehsās-e-jafā hotā hai
aa hī jaatā hai mohabbat meñ ik aisā lamha
mudda.ā dil kā jab āñkhoñ se adā hotā hai
ik qayāmat sī guzar jaatī hai apne dil par
jab gale mil ke koī ham se judā hotā hai
dil dhaḌaktā hai ki anjām na jaane kyā ho
jab kabhī lutf-o-karam un kā sivā hotā hai
ishq ke nāla-e-mahrūm rasā ho ke rahe
ab taġhāful bhī ba-unvān-e-vafā hotā hai
shikva-e-gardish-e-ayyām se hāsil ai 'soz'
qaid-e-hastī se koī yuuñ bhī rihā hotā hai
shikwa-e-gardish-e-taqdir se kya hota hai
karsaz ahl-e-mohabbat ka KHuda hota hai
shikwe hote hain mohabbat mein gila hota hai
koi apnon se bhi is tarah KHafa hota hai
muskurae wo mere gham ki hikayat sun kar
shayad ab un ko bhi ehsas-e-jafa hota hai
aa hi jata hai mohabbat mein ek aisa lamha
muddaa dil ka jab aankhon se ada hota hai
ek qayamat si guzar jati hai apne dil par
jab gale mil ke koi hum se juda hota hai
dil dhaDakta hai ki anjam na jaane kya ho
jab kabhi lutf-o-karam un ka siwa hota hai
ishq ke nala-e-mahrum rasa ho ke rahe
ab taghaful bhi ba-unwan-e-wafa hota hai
shikwa-e-gardish-e-ayyam se hasil ai 'soz'
qaid-e-hasti se koi yun bhi riha hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.