shikwa-e-jaur-o-jafa ho ye zaruri to nahin
shikva-e-jaur-o-jafā ho ye zarūrī to nahīñ
hashr ulfat kā burā ho ye zarūrī to nahīñ
arz-e-matlab bhī ḳhatā ho ye zarūrī to nahīñ
is meñ tauhīn-e-vafā ho ye zarūrī to nahīñ
haq mohabbat kā adā ho ye zarūrī to nahīñ
dard-e-dil kī bhī davā ho ye zarūrī to nahīñ
jaur altāf-numā ho ye zarūrī to nahīñ
ġham kī talḳhī meñ maza ho ye zarūrī to nahīñ
ibtidā shauq kī hotī hai pur-ummīd aksar
us kā anjām burā ho ye zarūrī to nahīñ
is qadar bhī koī bātoñ meñ na aa.e ai dil
un kī har baat bajā ho ye zarūrī to nahīñ
ham ne qurbān kiye ishq meñ jān-o-dil bhī
hurmat-e-ahl-e-vafā ho ye zarūrī to nahīñ
maar Daalā tirī ik tarz-e-taġhāful ne mujhe
aur tajdīd-e-jafā ho ye zarūrī to nahīñ
maiñ gunahgār-e-mohabbat huuñ ye taslīm magar
har sitam mujh pe ravā ho ye zarūrī to nahīñ
dekhiye jaur-e-musalsal pe mire zabt kī taab
lab pe shikva ho gila ho ye zarūrī to nahīñ
jin se ai dil tirā kuchh ḳhaas ta.alluq Thahrā
un se iz.hār-e-vafā ho ye zarūrī to nahīñ
tarjumān-e-dil-e-betāb to nazreñ bhī haiñ
kuchh zabāñ se bhī adā ho ye zarūrī to nahīñ
dil-e-betāb ko taskīn to mil jaatī hai
merī har aah rasā ho ye zarūrī to nahīñ
mujh ko rahbar kī qayādat to hai manzūr magar
us ko manzil kā patā ho ye zarūrī to nahīñ
ai 'kañval' tū ne kabhī koī taraddud bhī kiyā
ik muqaddar hī burā ho ye zarūrī to nahīñ
shikwa-e-jaur-o-jafa ho ye zaruri to nahin
hashr ulfat ka bura ho ye zaruri to nahin
arz-e-matlab bhi KHata ho ye zaruri to nahin
is mein tauhin-e-wafa ho ye zaruri to nahin
haq mohabbat ka ada ho ye zaruri to nahin
dard-e-dil ki bhi dawa ho ye zaruri to nahin
jaur altaf-numa ho ye zaruri to nahin
gham ki talKHi mein maza ho ye zaruri to nahin
ibtida shauq ki hoti hai pur-ummid aksar
us ka anjam bura ho ye zaruri to nahin
is qadar bhi koi baaton mein na aae ai dil
un ki har baat baja ho ye zaruri to nahin
hum ne qurban kiye ishq mein jaan-o-dil bhi
hurmat-e-ahl-e-wafa ho ye zaruri to nahin
mar Dala teri ek tarz-e-taghaful ne mujhe
aur tajdid-e-jafa ho ye zaruri to nahin
main gunahgar-e-mohabbat hun ye taslim magar
har sitam mujh pe rawa ho ye zaruri to nahin
dekhiye jaur-e-musalsal pe mere zabt ki tab
lab pe shikwa ho gila ho ye zaruri to nahin
jin se ai dil tera kuchh KHas talluq Thahra
un se izhaar-e-wafa ho ye zaruri to nahin
tarjuman-e-dil-e-betab to nazren bhi hain
kuchh zaban se bhi ada ho ye zaruri to nahin
dil-e-betab ko taskin to mil jati hai
meri har aah rasa ho ye zaruri to nahin
mujh ko rahbar ki qayaadat to hai manzur magar
us ko manzil ka pata ho ye zaruri to nahin
ai 'kanwal' tu ne kabhi koi taraddud bhi kiya
ek muqaddar hi bura ho ye zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.