shikwa-e-kasrat-e-bedad karun ya na karun
shikva-e-kasrat-e-bedād karūñ yā na karūñ
ḳhātir-e-husn ko nāshād karūñ yā na karūñ
dil-e-barbād ko ābād karūñ yā na karūñ
sochtā huuñ ki tujhe yaad karūñ yā na karūñ
āsmāñ mujh se hirāsāñ hī rahā kartā hai
ḳhvāh maiñ nāla-o-fariyād karūñ yā na karūñ
ḳhud bhī sayyād pareshāñ hai mujhe kar ke asiir
sochtā hai ise āzād karūñ yā na karūñ
jaur-e-gulchīñ hai ki baḌhtā hī chalā jaatā hai
jaur-e-gulchīñ pe maiñ fariyād karūñ yā na karūñ
mausam-e-gul kī hasīñ shaam hai mai-ḳhāna-ba-dosh
saaqī aise meñ tujhe yaad karūñ yā na karūñ
zindagī kaif-ba-dāmāñ thī mirī jab 'aḳhtar'
ab vo biite hue din yaad karūñ yā na karūñ
shikwa-e-kasrat-e-bedad karun ya na karun
KHatir-e-husn ko nashad karun ya na karun
dil-e-barbaad ko aabaad karun ya na karun
sochta hun ki tujhe yaad karun ya na karun
aasman mujh se hirasan hi raha karta hai
KHwah main nala-o-fariyaad karun ya na karun
KHud bhi sayyaad pareshan hai mujhe kar ke asir
sochta hai ise aazad karun ya na karun
jaur-e-gulchin hai ki baDhta hi chala jata hai
jaur-e-gulchin pe main fariyaad karun ya na karun
mausam-e-gul ki hasin sham hai mai-KHana-ba-dosh
saqi aise mein tujhe yaad karun ya na karun
zindagi kaif-ba-daman thi meri jab 'aKHtar'
ab wo bite hue din yaad karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.