shikwa gila mutalba fariyaad kuchh to ho
shikva gila mutālba fariyād kuchh to ho
jiinā agar hai ai dil-e-barbād kuchh to ho
shīrīn-o-dil-navāz koī ḳhvāb hī sahī
āḳhir tasallī-e-dil-e-nāshād kuchh to ho
ḳhush aa sakī na lazzat-e-tahsīn-e-nā-shanās
tārīf bhī agar ho to buniyād kuchh to ho
haañ muskurāo khul ke sar-e-dār dosto
dilkash tumhāre qatl kī rūdād kuchh to ho
aao nā gaa.eñ naġhma-e-āzādi-e-chaman
kunj-e-qafas meñ ḳhātir-e-sayyād kuchh to ho
hasrat se tak rahī hai mirī iltijā huzūr
kab tak ḳhamosh rahiyegā irshād kuchh to ho
ahbāb ke diloñ pe koī naqsh chhoḌ jā
ai 'rāz' tere zikr kī buniyād kuchh to ho
shikwa gila mutalba fariyaad kuchh to ho
jina agar hai ai dil-e-barbaad kuchh to ho
shirin-o-dil-nawaz koi KHwab hi sahi
aaKHir tasalli-e-dil-e-nashad kuchh to ho
KHush aa saki na lazzat-e-tahsin-e-na-shanas
tarif bhi agar ho to buniyaad kuchh to ho
han muskurao khul ke sar-e-dar dosto
dilkash tumhaare qatl ki rudad kuchh to ho
aao na gaen naghma-e-azadi-e-chaman
kunj-e-qafas mein KHatir-e-sayyaad kuchh to ho
hasrat se tak rahi hai meri iltija huzur
kab tak KHamosh rahiyega irshad kuchh to ho
ahbab ke dilon pe koi naqsh chhoD ja
ai 'raaz' tere zikr ki buniyaad kuchh to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.