shikwa-ha-e-gham-e-jahan se bachen
shikva-hā-e-ġham-e-jahāñ se bacheñ
aa ki ham sa.ī-e-rā.igāñ se bacheñ
aa ki samjheñ zamīñ kī ḳhush-sababī
be-sabab ḳhauf-e-āsmāñ se bacheñ
chhīn le jo yaqīn kī taufīq
lāziman aise har gumāñ se bacheñ
saal bhar dil lagā.eñ paḌhne meñ
raat din fikr-e-imtihāñ se bacheñ
jo bilā tabsira paḌhī jaa.e
ishq kī aisī dāstāñ se bacheñ
shikwa-ha-e-gham-e-jahan se bachen
aa ki hum sai-e-raigan se bachen
aa ki samjhen zamin ki KHush-sababi
be-sabab KHauf-e-asman se bachen
chhin le jo yaqin ki taufiq
laziman aise har guman se bachen
sal bhar dil lagaen paDhne mein
raat din fikr-e-imtihan se bachen
jo bila tabsira paDhi jae
ishq ki aisi dastan se bachen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.