shikwa hai mere lab pe na aansu nazar mein hai
shikva hai mere lab pe na aañsū nazar meñ hai
guzrī huī hayāt kā aahū nazar meñ hai
bujhte haiñ gar charāġh to bujhne bhī do zarā
ik husn-e-lā-javāb kā jaadū nazar meñ hai
shahroñ meñ jis kī mujh ko zamāne se hai talāsh
bhaa.ī vo mere gaañv kā jugnū nazar meñ hai
māyūs kaise ho bhalā merī nigāh-e-shauq
insāf kā 'azīm tarāzū nazar meñ hai
us ke badan kī ḳhushbū fazāoñ meñ hai magar
us ke hasīn lahje kā jaadū nazar meñ hai
mujh ko kisī bhī zulm kā hotā nahīñ malāl
guzrā huā vo daur-e-halākū nazar meñ hai
'irfāñ' ye dekh maut ke saa.e meñ āj-kal
ab zindagī kā kaun sā pahlū nazar meñ hai
shikwa hai mere lab pe na aansu nazar mein hai
guzri hui hayat ka aahu nazar mein hai
bujhte hain gar charagh to bujhne bhi do zara
ek husn-e-la-jawab ka jadu nazar mein hai
shahron mein jis ki mujh ko zamane se hai talash
bhai wo mere ganw ka jugnu nazar mein hai
mayus kaise ho bhala meri nigah-e-shauq
insaf ka 'azim taraazu nazar mein hai
us ke badan ki KHushbu fazaon mein hai magar
us ke hasin lahje ka jadu nazar mein hai
mujh ko kisi bhi zulm ka hota nahin malal
guzra hua wo daur-e-halaku nazar mein hai
'irfan' ye dekh maut ke sae mein aaj-kal
ab zindagi ka kaun sa pahlu nazar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.