shikwa ho hamein kya teri bedad-gari ka
shikva ho hameñ kyā tirī bedād-garī kā
dil lutf uThātā hai tirī kam-nazarī kā
ġhunchoñ ko bharī niiñd se chauñkā to diyā hai
ehsān gulistāñ pe nasīm-e-saharī kā
ab dil ke dhaḌakne kā bhī ehsās nahīñ hai
kuchh aur hī aalam hai mirī be-ḳhabarī kā
marham na sahī zaḳhm pe nashtar to rakhā hai
ehsān na bhūleñge tirī chāragarī kā
kyā jāniye kyā soch ke lab sī liye ham ne
sunte the bahut shor tirī dīda-varī kā
jaise ki mire haal pe ehsān kiyā hai
andāz to dekhe koī bedād-garī kā
ai 'shauq' ġhazabnāk haiñ barham haiñ bahut vo
afsāna sunā hogā mirī be-jigarī kā
shikwa ho hamein kya teri bedad-gari ka
dil lutf uThata hai teri kam-nazari ka
ghunchon ko bhari nind se chaunka to diya hai
ehsan gulistan pe nasim-e-sahari ka
ab dil ke dhaDakne ka bhi ehsas nahin hai
kuchh aur hi aalam hai meri be-KHabari ka
marham na sahi zaKHm pe nashtar to rakha hai
ehsan na bhulenge teri chaaragari ka
kya jaaniye kya soch ke lab si liye hum ne
sunte the bahut shor teri dida-wari ka
jaise ki mere haal pe ehsan kiya hai
andaz to dekhe koi bedad-gari ka
ai 'shauq' ghazabnak hain barham hain bahut wo
afsana suna hoga meri be-jigari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.