shikwa na karenge kabhi hum barq-o-sharar se
shikva na kareñge kabhī ham barq-o-sharar se
gulshan meñ to ḳhud aag lagī hai gul-e-tar se
vo log to sāhil pe bhī Dūbeñge yaqīnan
ghabrā ke palaTte haiñ jo tūfān ke Dar se
tar-dāmanī pe tanz na kar merī ai vaa.iz
dāman na kahīñ tar ho tirā dāman-e-tar se
kyā koī mah-e-ḳhūbī nikal aayā sar-e-shām
taare bhī nazar aate gardūñ meñ sharar se
ye kaisā hai dastūr tirī bazm kā saaqī
ḳhum koī luñDhā.e to koī buuñd ko tarse
vo mujh se lipaT jaate haiñ bādal kī garaj se
allāh kare ab ye ghaTā jhuum ke barse
jibra.īl ke par jalte haiñ jis jā pe ai hamdam
'rūmānī' vahāñ pahuñchā hai taḳh.īl ke par se
shikwa na karenge kabhi hum barq-o-sharar se
gulshan mein to KHud aag lagi hai gul-e-tar se
wo log to sahil pe bhi Dubenge yaqinan
ghabra ke palaTte hain jo tufan ke Dar se
tar-damani pe tanz na kar meri ai waiz
daman na kahin tar ho tera daman-e-tar se
kya koi mah-e-KHubi nikal aaya sar-e-sham
tare bhi nazar aate gardun mein sharar se
ye kaisa hai dastur teri bazm ka saqi
KHum koi lunDhae to koi bund ko tarse
wo mujh se lipaT jate hain baadal ki garaj se
allah kare ab ye ghaTa jhum ke barse
jibrail ke par jalte hain jis ja pe ai hamdam
'rumani' wahan pahuncha hai taKHil ke par se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.