shikwa nahin gila nahin rabt koi baham nahin
shikwa nahin gila nahin rabt koi baham nahin
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
shikva nahīñ gila nahīñ rabt koī baham nahīñ
rasm-e-salām kyā jahāñ pursish-e-hāl-e-ġham nahīñ
go ki nahīñ nigāh meñ dil se nahīñ ho duur tum
dīda-e-dil ke vāste fāsla besh-o-kam nahīñ
bazm se aap kyā ga.e raunaq-e-bazm le ga.e
ab vo surūr-e-dil kahāñ aap ga.e to ham nahīñ
aap kī yaad aa ga.ī dil pe ḳhushī sī chhā ga.ī
ab mujhe ġham se vāsta ab mujhe koī ġham nahīñ
pahlā sā vo karam kahāñ lutf kī vo nazar kahāñ
hai ye sitam kī intihā koī nayā sitam nahīñ
us kī nigāh-e-mast kā ab bhī ḳhumār hai magar
sāqī-e-dil-navāz kā pahlā sā vo karam nahīñ
dāman idhar hai taar taar ruḳh pe nahīñ udhar naqāb
'ishq agar hai be-vaqār husn kā bhī bharam nahīñ
manzil-e-zindagī na pūchh sirf safar hai zindagī
paañv uThā qadam baḌhā hosh sañbhāl tham nahīñ
dekh kar un ke iltifāt rah ga.ī dil kī dil meñ baat
hosh gayā jo vo ga.e aa.e to dam meñ dam nahīñ
minnateñ shaiḳh-o-barhaman kījiye kis liye 'habīb'
dil hai mirī nigāh meñ dair nahīñ haram nahīñ
shikwa nahin gila nahin rabt koi baham nahin
rasm-e-salam kya jahan pursish-e-haal-e-gham nahin
go ki nahin nigah mein dil se nahin ho dur tum
dida-e-dil ke waste fasla besh-o-kam nahin
bazm se aap kya gae raunaq-e-bazm le gae
ab wo surur-e-dil kahan aap gae to hum nahin
aap ki yaad aa gai dil pe KHushi si chha gai
ab mujhe gham se wasta ab mujhe koi gham nahin
pahla sa wo karam kahan lutf ki wo nazar kahan
hai ye sitam ki intiha koi naya sitam nahin
us ki nigah-e-mast ka ab bhi KHumar hai magar
saqi-e-dil-nawaz ka pahla sa wo karam nahin
daman idhar hai tar tar ruKH pe nahin udhar naqab
'ishq agar hai be-waqar husn ka bhi bharam nahin
manzil-e-zindagi na puchh sirf safar hai zindagi
panw uTha qadam baDha hosh sanbhaal tham nahin
dekh kar un ke iltifat rah gai dil ki dil mein baat
hosh gaya jo wo gae aae to dam mein dam nahin
minnaten shaiKH-o-barhaman kijiye kis liye 'habib'
dil hai meri nigah mein dair nahin haram nahin
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 52)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.