shikwa nahin kisi ki mulaqat ka mujhe
shikva nahīñ kisī kī mulāqāt kā mujhe
tum jānte ho vahm hai jis baat kā mujhe
jaanā ki bū-e-ġhair ye pahchān jā.egā
baasī na us ne haar diyā raat kā mujhe
mil kar tamām bhed kahūñgā raqīb se
aatā hai ḳhuub toḌ tirī ghaat kā mujhe
Darnā kisī kā aur vo bijlī kā kauñdnā
mausam bahut pasañd hai barsāt kā mujhe
āḳhir vahāñ raqīb ne naqsha jamā liyā
ai 'dāġh' ḳhauf thā usī bad-zāt kā mujhe
shikwa nahin kisi ki mulaqat ka mujhe
tum jaante ho wahm hai jis baat ka mujhe
jaana ki bu-e-ghair ye pahchan jaega
basi na us ne haar diya raat ka mujhe
mil kar tamam bhed kahunga raqib se
aata hai KHub toD teri ghat ka mujhe
Darna kisi ka aur wo bijli ka kaundna
mausam bahut pasand hai barsat ka mujhe
aaKHir wahan raqib ne naqsha jama liya
ai 'dagh' KHauf tha usi bad-zat ka mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.