shikwa zaban se na kabhi aashna hua
shikva zabān se na kabhī āshnā huā
nazroñ se kah diyā jo mirā mudda.ā huā
allāh-rī be-ḳhudī ki chalā jā rahā huuñ maiñ
manzil ko dekhtā huā kuchh sochtā huā
duniyā laraz ga.ī dil-e-īzā-pasand kī
nā-āshnā-e-dard jo dard-āshnā huā
phir ai dil-e-shikasta koī naġhma chheḌ de
phir aa rahā hai koī idhar jhūmtā huā
shikwa zaban se na kabhi aashna hua
nazron se kah diya jo mera muddaa hua
allah-ri be-KHudi ki chala ja raha hun main
manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua
duniya laraz gai dil-e-iza-pasand ki
na-ashna-e-dard jo dard-ashna hua
phir ai dil-e-shikasta koi naghma chheD de
phir aa raha hai koi idhar jhumta hua
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.