aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwe ke nam se be-mehr KHafa hota hai

Mirza Ghalib

shikwe ke nam se be-mehr KHafa hota hai

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    shikve ke naam se be-mehr ḳhafā hotā hai

    ye bhī mat kah ki jo kahiye to gila hotā hai

    unkind, at mere mention of complaint she is annoyed

    do not even utter this as grievance is implied

    pur huuñ maiñ shikve se yuuñ raag se jaise baajā

    ik zarā chheḌiye phir dekhiye kyā hotā hai

    I am so full of complaint, as instruments with air

    you have to but lightly blow, and then see what is there

    go samajhtā nahīñ par husn-e-talāfī dekho

    shikva-e-jaur se sargarm-e-jafā hotā hai

    although she is naïve yet see, how well she makes amends

    at complaints of tyranny, more cruelty attends

    ishq raah meñ hai charḳh-e-makaukab vo chaal

    sust-rau jaise koī ābla-pā hotā hai

    in love's path the star filled sky's footsteps are so effete

    as of one who slowly moves with blisters on his feet

    kyuuñ na Thahreñ hadaf-e-nāvak-e-bedād ki ham

    aap uThā laate haiñ gar tiir ḳhatā hotā hai

    target of cruelty's missiles why should I not be

    Myself I gather and return arrows that miss me

    ḳhuub thā pahle se hote jo ham apne bad-ḳhvāh

    ki bhalā chāhte haiñ aur burā hotā hai

    had I wished ill on myself would be of greater use

    Coz when now I hope for good, calamity accrues

    naala jaatā thā pare arsh se merā aur ab

    lab tak aatā hai jo aisā rasā hotā hai

    my plaints went past the heavens once but it is, they now

    barely reach up to my lips, if successful somehow

    ḳhāma merā ki vo hai bār-bud-e-bazm-e-suḳhan

    shaah mad.h meñ yuuñ naġhma-sarā hotā hai

    my quill is the bard Baarbud in gatherings of rhyme

    just like him breaks into song praising the king sublime

    ai shahanshāh-e-kavākib sipah-o-mehr-e-alam

    tere ikrām haq kis se adā hotā hai

    Mighty King with stars for troops, whose standard is the Sun

    he who can repay your kindness, is there anyone?

    saat aqlīm hāsil jo farāham kiije

    to vo lashkar tire nāl-e-bahā hotā hai

    wealth of seven continents even if were to be

    would merely meet the ransom set by your cavalry

    har mahīne meñ jo ye badr se hotā hai hilāl

    āstāñ par tire mah nāsiya hotā hai

    every month from full moon to a crescent it

    tis because upon your doorstep supplicates it's brow

    maiñ jo gustāḳh huuñ ā.īn-e-ġhazal-ḳhvānī meñ

    ye bhī terā karam zauq-fazā hotā hai

    my audacity of style in Gazal-rendering

    your kindness is the cause for this zest O mighty king

    rakhiyo 'ġhālib' mujhe is talḳh-navā.ī meñ muaaf

    aaj kuchh dard mire dil meñ sivā hotā hai

    pardon me for bitterness that now my songs possess

    the poignancy of pain in my heart is in excess

    shikwe ke nam se be-mehr KHafa hota hai

    ye bhi mat kah ki jo kahiye to gila hota hai

    unkind, at mere mention of complaint she is annoyed

    do not even utter this as grievance is implied

    pur hun main shikwe se yun rag se jaise baja

    ek zara chheDiye phir dekhiye kya hota hai

    I am so full of complaint, as instruments with air

    you have to but lightly blow, and then see what is there

    go samajhta nahin par husn-e-talafi dekho

    shikwa-e-jaur se sargarm-e-jafa hota hai

    although she is naïve yet see, how well she makes amends

    at complaints of tyranny, more cruelty attends

    ishq ki rah mein hai charKH-e-makaukab ki wo chaal

    sust-rau jaise koi aabla-pa hota hai

    in love's path the star filled sky's footsteps are so effete

    as of one who slowly moves with blisters on his feet

    kyun na Thahren hadaf-e-nawak-e-bedad ki hum

    aap uTha late hain gar tir KHata hota hai

    target of cruelty's missiles why should I not be

    Myself I gather and return arrows that miss me

    KHub tha pahle se hote jo hum apne bad-KHwah

    ki bhala chahte hain aur bura hota hai

    had I wished ill on myself would be of greater use

    Coz when now I hope for good, calamity accrues

    nala jata tha pare arsh se mera aur ab

    lab tak aata hai jo aisa hi rasa hota hai

    my plaints went past the heavens once but it is, they now

    barely reach up to my lips, if successful somehow

    KHama mera ki wo hai bar-bud-e-bazm-e-suKHan

    shah ki madh mein yun naghma-sara hota hai

    my quill is the bard Baarbud in gatherings of rhyme

    just like him breaks into song praising the king sublime

    ai shahanshah-e-kawakib sipah-o-mehr-e-alam

    tere ikram ka haq kis se ada hota hai

    Mighty King with stars for troops, whose standard is the Sun

    he who can repay your kindness, is there anyone?

    sat aqlim ka hasil jo faraham kije

    to wo lashkar ka tere nal-e-baha hota hai

    wealth of seven continents even if were to be

    would merely meet the ransom set by your cavalry

    har mahine mein jo ye badr se hota hai hilal

    aastan par tere mah nasiya sa hota hai

    every month from full moon to a crescent it

    tis because upon your doorstep supplicates it's brow

    main jo gustaKH hun aain-e-ghazal-KHwani mein

    ye bhi tera hi karam zauq-faza hota hai

    my audacity of style in Gazal-rendering

    your kindness is the cause for this zest O mighty king

    rakhiyo 'ghaalib' mujhe is talKH-nawai mein muaf

    aaj kuchh dard mere dil mein siwa hota hai

    pardon me for bitterness that now my songs possess

    the poignancy of pain in my heart is in excess

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 402)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now