shikwe ki baat hai na shikayat ki baat hai
Interesting Fact
(18th November 1966) (Taamiir-e-Urdu)
shikve kī baat hai na shikāyat kī baat hai
aapas kī guftugū hai mohabbat kī baat hai
īsār chāhtī hai mohabbat ba-nām-e-tark
ab imtihān-e-zarf hai himmat kī baat hai
but-ḳhāne meñ bhī nūr-e-ḳhudā dekhtā huuñ meñ
jī haañ ye mere husn-e-aqīdat kī baat hai
kyuuñ dūsroñ kī ziist se letā nahīñ sabaq
jo baat aadmī kī hai hairat kī baat hai
jo tujh ko nā-pasand hai auroñ ko hai pasand
ye apne apne zauq-o-tabī.at kī baat hai
suniye to shaiḳh jī kī zarā lan-tarāniyāñ
hūroñ kā zikr-e-ḳhair hai jannat kī baat hai
shaiḳh-e-haram kā zikr nahīñ hai mire nadīm
pīr-e-muġhāñ ke kashf-o-karāmat kī baat hai
sīrat hī jab nahīñ hai to sūrat kā zikr kyā
sūrat kā kyā savāl hai sīrat kī baat hai
tū aur bad-gumān ho kahne se ġhair ke
shikve kā hai maqām shikāyat kī baat hai
mujh se qarīb ho ke bahut duur ho ga.e
ye bhī mirā nasīb hai qismat kī baat hai
ye shā.irī ye aap kā zauq-e-mutāla
fursat kā mashġhala hai farāġhat kī baat hai
maiñ be-adab nahīñ huuñ raheñ aap mutma.in
ḳhalvat hī meñ kahūñgā jo ḳhalvat kī baat hai
aġhyār ko bhī itnā to āḳhir hai e'tirāf
'tālib' kī baat baat sadāqat kī baat hai
shikwe ki baat hai na shikayat ki baat hai
aapas ki guftugu hai mohabbat ki baat hai
isar chahti hai mohabbat ba-nam-e-tark
ab imtihan-e-zarf hai himmat ki baat hai
but-KHane mein bhi nur-e-KHuda dekhta hun mein
ji han ye mere husn-e-aqidat ki baat hai
kyun dusron ki zist se leta nahin sabaq
jo baat aadmi ki hai hairat ki baat hai
jo tujh ko na-pasand hai auron ko hai pasand
ye apne apne zauq-o-tabiat ki baat hai
suniye to shaiKH ji ki zara lan-taraniyan
huron ka zikr-e-KHair hai jannat ki baat hai
shaiKH-e-haram ka zikr nahin hai mere nadim
pir-e-mughan ke kashf-o-karamat ki baat hai
sirat hi jab nahin hai to surat ka zikr kya
surat ka kya sawal hai sirat ki baat hai
tu aur bad-guman ho kahne se ghair ke
shikwe ka hai maqam shikayat ki baat hai
mujh se qarib ho ke bahut dur ho gae
ye bhi mera nasib hai qismat ki baat hai
ye shairi ye aap ka zauq-e-mutala
fursat ka mashghala hai faraghat ki baat hai
main be-adab nahin hun rahen aap mutmain
KHalwat hi mein kahunga jo KHalwat ki baat hai
aghyar ko bhi itna to aaKHir hai e'tiraf
'talib' ki baat baat sadaqat ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.