shitab kho gai piri jawani do din ki
shitāb kho ga.ī piirī javānī do din kī
chhupī sahar meñ shab-e-kāmrānī do din kī
kisī kī haat meñ dil de ke paañv lag (so) rahiye
ḳhushī se kyuuñ na kaTe zindagānī do din kī
ye dil ko lagte hī toḌā jo un ne so ga.e baḳht
mere nasīboñ kī rah ga.ī kahānī do din kī
use maiñ tauf ke halqa meñ ghere rakkhā thā
ajab thī us pe mirī pāsbānī do din kī
ye dāġh-e-dil liye jā.ūñgā gor meñ 'uzlat'
mohabbat us kī thī so bhī zabānī do din kī
shitab kho gai piri jawani do din ki
chhupi sahar mein shab-e-kaamrani do din ki
kisi ki hat mein dil de ke panw lag (so) rahiye
KHushi se kyun na kaTe zindagani do din ki
ye dil ko lagte hi toDa jo un ne so gae baKHt
mere nasibon ki rah gai kahani do din ki
use main tauf ke halqa mein ghere rakkha tha
ajab thi us pe meri pasbani do din ki
ye dagh-e-dil liye jaunga gor mein 'uzlat'
mohabbat us ki thi so bhi zabani do din ki
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.