sho’la-e-dard liye dida-e-tar mein aae
sho’la-e-dard liye dīda-e-tar meñ aa.e
chārāgar aag lagāne mire ghar meñ aa.e
chand tinke hī sahī apne nasheman kī bisāt
kuchh to haiñ jo nigah-e-barq-o-sharar meñ aa.e
ab jo phirte haiñ sukūñ DhūñDte maqtal maqtal
tujh se bhāge to tire dām-e-asar meñ aa.e
koī darvāza na rauzan na darīcha koī
raushnī aa.e to kis raah se ghar meñ aa.e
un ko manzil hī nahīñ 'azmat-e-manzil bhī milī
le ke jo tosha-e-jāñ rāhguzar meñ aa.e
zaḳhm-e-dil mahke to un ko na milī daad koī
phuul mahke to zamāne kī nazar meñ aa.e
ho tire fan meñ 'azīz' us ke suḳhan kī ḳhushbū
rang us kā tire andāz-e-hunar meñ aa.e
sho’la-e-dard liye dida-e-tar mein aae
chaaragar aag lagane mere ghar mein aae
chand tinke hi sahi apne nasheman ki bisat
kuchh to hain jo nigah-e-barq-o-sharar mein aae
ab jo phirte hain sukun DhunDte maqtal maqtal
tujh se bhage to tere dam-e-asar mein aae
koi darwaza na rauzan na daricha koi
raushni aae to kis rah se ghar mein aae
un ko manzil hi nahin 'azmat-e-manzil bhi mili
le ke jo tosha-e-jaan rahguzar mein aae
zaKHm-e-dil mahke to un ko na mili dad koi
phul mahke to zamane ki nazar mein aae
ho tere fan mein 'aziz' us ke suKHan ki KHushbu
rang us ka tere andaz-e-hunar mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.