shola hai barq hai ki sharar hai hamari zat
sho'la hai barq hai ki sharar hai hamārī zaat
maañ ke liye to laḳht-e-jigar hai hamārī zaat
tum ko yaqīñ nahīñ to zamāne se pūchh lo
is shahr-e-bā-hunar meñ hunar hai hamārī zaat
duniyā ne to miTāne meñ koī kamī na kī
allāh ke karam se magar hai hamārī zaat
nikle barā-e-sair to ghuum aa.e ik jahāñ
phir lauT pher apnā hī ghar hai hamārī zaat
be-chehragī kā daur hai gum haiñ samā'ateñ
kis se kaheñ ki ā.ina-gar hai hamārī zaat
rāh-e-anā se ham kabhī haT kar na chal sake
ye aur baat gard-e-safar hai hamārī zaat
ikkīsvīñ sadī kī taraf gāmzan haiñ ham
hālāñki ab bhī ḳhāk-basar hai hamārī zaat
is ke liye samā’at-e-ehsās chāhiye
har lamha ek taaza ḳhabar hai hamārī zaat
saa.e meñ jis ke rahtī haiñ shahzādiyāñ 'atīq'
college kā vo hasīn shajar hai hamārī zaat
sho'la hai barq hai ki sharar hai hamari zat
man ke liye to laKHt-e-jigar hai hamari zat
tum ko yaqin nahin to zamane se puchh lo
is shahr-e-ba-hunar mein hunar hai hamari zat
duniya ne to miTane mein koi kami na ki
allah ke karam se magar hai hamari zat
nikle bara-e-sair to ghum aae ek jahan
phir lauT pher apna hi ghar hai hamari zat
be-chehragi ka daur hai gum hain sama'aten
kis se kahen ki aaina-gar hai hamari zat
rah-e-ana se hum kabhi haT kar na chal sake
ye aur baat gard-e-safar hai hamari zat
ikkiswin sadi ki taraf gamzan hain hum
haalanki ab bhi KHak-basar hai hamari zat
is ke liye sama’at-e-ehsas chahiye
har lamha ek taza KHabar hai hamari zat
sae mein jis ke rahti hain shahzadiyan 'atiq'
college ka wo hasin shajar hai hamari zat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.