shoala-e-dil bujha ke dekh liya
Interesting Fact
1963
sho.ala-e-dil bujhā ke dekh liyā
aarzū ko miTā ke dekh liyā
apne hāthoñ jise sañvārā thā
vo chaman bhī luTā ke dekh liyā
dil kā jo zaḳhm thā charāġh banā
āñsuoñ ko chhupā ke dekh liyā
chāragar tere imtihāñ ke liye
zaḳhm par zaḳhm khā ke dekh liyā
muskurā.e to saath thī duniyā
ashk tanhā bahā ke dekh liyā
shoala-e-dil bujha ke dekh liya
aarzu ko miTa ke dekh liya
apne hathon jise sanwara tha
wo chaman bhi luTa ke dekh liya
dil ka jo zaKHm tha charagh bana
aansuon ko chhupa ke dekh liya
chaaragar tere imtihan ke liye
zaKHm par zaKHm kha ke dekh liya
muskurae to sath thi duniya
ashk tanha baha ke dekh liya
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 105)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.