shoala-e-gham ke siwa daKHil nahin
sho.ala-e-ġham ke sivā dāḳhil nahīñ
pyaar ke qābil hamārā dil nahīñ
terī sūrat ko bhulā.eñ kis tarah
tū nahīñ to raunaq-e-mahfil nahīñ
masnad-a-ta.amīr phir un ko na do
ḳhāk-e-gulshan ke bhī jo qābil nahīñ
aag paanī phuul patthar rang-o-nūr
husn kī fitrat meñ kyā shāmil nahīñ
ḳhatm hotā hai jahāñ ye rāsta
vo bhī hai ik rāsta manzil nahīñ
dil hai vo sah le hazāroñ kulfateñ
jo kare shikva vo samjho dil nahīñ
nāḳhudā le chal mujhe mañjdhār meñ
mujh ko tūfāñ chāhiye sāhil nahīñ
azm puḳhta ho agar ai 'sarfarāz'
koh-e-ġham ko kāTnā mushkil nahīñ
shoala-e-gham ke siwa daKHil nahin
pyar ke qabil hamara dil nahin
teri surat ko bhulaen kis tarah
tu nahin to raunaq-e-mahfil nahin
masnad-a-tamir phir un ko na do
KHak-e-gulshan ke bhi jo qabil nahin
aag pani phul patthar rang-o-nur
husn ki fitrat mein kya shamil nahin
KHatm hota hai jahan ye rasta
wo bhi hai ek rasta manzil nahin
dil hai wo sah le hazaron kulfaten
jo kare shikwa wo samjho dil nahin
naKHuda le chal mujhe manjdhaar mein
mujh ko tufan chahiye sahil nahin
azm puKHta ho agar ai 'sarfaraaz'
koh-e-gham ko kaTna mushkil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.