shoala-e-gul se rang-e-shafaq tak aariz-o-lab ki baat gai
sho.ala-e-gul se rang-e-shafaq tak āriz-o-lab kī baat ga.ī
chhiḌ gayā jab bhī terā qissa ḳhatm huā din raat ga.ī
sūkhe hoñT to buuñd ko tarse miinā ḳhālī jaam tahī
lekin phir bhī chand laboñ tak saaqī kī sauġhāt ga.ī
sargoshī meñ baat jo kī thī kyā thī ham ḳhud bhuul ga.e
lekin ek fasāna ban kar duniyā tak vo baat ga.ī
yādoñ ke zahrīle nashtar TuuT rahe haiñ rag rag meñ
barsā kar kuchh aise sho.ale ab ke baras barsāt ga.ī
siskī ik majbūr dulhan kī zehn meñ ubhrī rah rah kar
shahnā.ī kī guuñj meñ 'afsar' jab bhī koī bārāt ga.ī
shoala-e-gul se rang-e-shafaq tak aariz-o-lab ki baat gai
chhiD gaya jab bhi tera qissa KHatm hua din raat gai
sukhe honT to bund ko tarse mina KHali jam tahi
lekin phir bhi chand labon tak saqi ki saughat gai
sargoshi mein baat jo ki thi kya thi hum KHud bhul gae
lekin ek fasana ban kar duniya tak wo baat gai
yaadon ke zahrile nashtar TuT rahe hain rag rag mein
barsa kar kuchh aise shoale ab ke baras barsat gai
siski ek majbur dulhan ki zehn mein ubhri rah rah kar
shahnai ki gunj mein 'afsar' jab bhi koi baraat gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.