shoala-e-zauq-e-numu barfab likh
sho.ala-e-zauq-e-numū barfāb likh
kashti-e-dil ho ga.ī ġharqāb likh
zindagī paimāna-e-zahrāb likh
aur ye hai tohfa-e-ahbāb likh
merī rāteñ ranj-e-furqat soz-e-dil
us kī shab meñ ik sunahrā ḳhvāb likh
us kā rutba kab samajh meñ aa sakā
yaad jitne hoñ sabhī alqāb likh
kah nahīñ saktā kabhī maiñ ai 'nadīm'
jābiroñ ko bhī mirā ādāb likh
ye munādī hai ġhanīm-e-vaqt kī
rut ḳhizāñ kī hai magar 'shādāb' likh
ye bhī fatvā hai faqīh-e-shahr kā
jabr ke sūraj ko tū mahtāb likh
shoala-e-zauq-e-numu barfab likh
kashti-e-dil ho gai gharqab likh
zindagi paimana-e-zahrab likh
aur ye hai tohfa-e-ahbab likh
meri raaten ranj-e-furqat soz-e-dil
us ki shab mein ek sunahra KHwab likh
us ka rutba kab samajh mein aa saka
yaad jitne hon sabhi alqab likh
kah nahin sakta kabhi main ai 'nadim'
jabiron ko bhi mera aadab likh
ye munadi hai ghanim-e-waqt ki
rut KHizan ki hai magar 'shadab' likh
ye bhi fatwa hai faqih-e-shahr ka
jabr ke suraj ko tu mahtab likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.